Tuesday, 14 November 2017







(1) Sonay Se Pehlay Namaz e Fajr Key Liye Uthnay Ki Sachchi Niyat Ki Jaye Kiyunkay Niyat Se Toufiq Milti Hai.

(2) Raat Ko Sonay Mein Jaldi Ki Jaye Aur Der Raat Jaagney Se Parhaiz Kiya Jaye, Ibadat Se Taghaful (Ghaflat) Mein Yeh Sab Se Badi Rukawat Hai.

(3) Sachchey Dil Se Allah Taala Se Dua Key Saath Subah Uthnay Ka Pukhta Iradah Kiya Jaaye, Dua Har Gunah Sey Bachney Ka Mu’assar (Effective) Hathyaar Hai Aur Iraday Ki Pukhtagi Anjaam Tak Pahunchana Hai.

(4) Sonay Sey Pahlay Wuzu Kiya Jaaye Or Sooney Se Mutalliq Masnoon Dua Parhi Jaaye, Bedaar Honay Par Bedaari Ki Duayen Parhi Jaayen.

(5) Is Baat Ki Ma’rifat (Jaankaari) Ho Key Namaz e Fajr Chor Kar Soye Rehna Gunah Ka Baais (Sabab, Reason) Or Munafiq Ki Nishani Hai. (Muttafaq Alaih)
* Muttafaq Alaih Ka Matlab: Aisi Hadees Jo Sahih Bukhari or Sahih Muslim Dono Mein Ho.


(6) Allah Ki Masiyat aur Uski Nafarmani Se Bilkul Bacha Jaaye.

(7) Is Baat Ka Ehsas Kiya Jaaye Ke Namaz e Fajr Parhnay Sey Bandah Allah Taala Ki Zamanat (Ya Amaan) Mein Ho Jata Hai (Sahih Muslim: 657)

(8) Alarm Ka Istemaal Kiya Jaaye Aur Us Mein Fajr Ki Namaz Se Pehlay Ka Waqt Set Karkey Apne Se Door Rakha Jaye.

(9) Dopahar Mein Mamooli Qailulah Karney (Means Dopahar Mein Thoda Soney) Sey Subah Bedar Honay (Uthney) Mein Madad Milti Hai.

(10) Sonay Mein Akelay Pan Ko Door Kiya Jaaye, Taaki Paas Pados Mein Koi Hoga To Namaz Key Liye Jaga Dayga.

(11) Raat Ka Khana Halka Khaya Jaye Kiyunkay Ziyada Khana Neend Mein Shiddat Ka Baais (Sabab, Reason) Hai.

(12) Peeth or Pait Ke Bal Na Soya Jaye Balkay Sonay Mein Nabawi Kaifiyat Ko Ikhtiyar Kiya Jaye, Yani Daayen (Right) Karvat Soyen Is Tarah Key Daayen (Right) Haath Ki Hatheli Daayen (Right) Gaal Key Neechay Ho.

(13) Raat Ki Neend or Din Mein Mamooli Qailulah (Dopahar Ko Soney) Key Alawah Deegar (Doosrey) Auqaat Mein Sonay Se Bachen.

(14) Namaz e Fajr Key Saath Deegar (Doosri) Namazon Ki Bajmaat Adaigi Ki Jaye Aur Us Mein Susti or Kahili Ko Door (Khatam) Kiya Jaye.

Yeh Chand (Kuch) Tajaweez(Advices) Theen Jinhein Apna Kar Allah Ki Taufeeq Se Insaan Fajr Ki Namaz Parhnay Key Qabil Ho Sakta Hai.

Ho Sakta Hai Is Mein Kuch Waqt Lagey Magar Itna Zaroor Dhiyaan Den Key Jaisay Jaisay Rab Par Imaan Mazboot Hoga, Aap Ki Niyat Khalis Hogi, Aur Apney Khaaliq e Haqeeqi Ki Ibadat Ki Sachchi Tadap Dil Mein Paida Hogi Waisay Waisay Aap Key Liye Deen Key Umoor Par Amal Karna Aasaan Se Aasaan Tar (Means Aasaan) Hota Chala Jaayegaa. In sha Allah.

0 comments:

Post a Comment

ad 2

ad

ad 4

Popular Posts

Blog Archive